XtGem Forum catalog
HomeFb StatusWhatsapp StatusGujarati sms

Hindi Gazal Sms

Sarapa ashk hon main ab bikhar jaon to behtar hai
Jidhar jatay hain ye baadal udhar jaon to behtar hai

Ye dil kehta hai tere shehar mein kuch din theher jaon
Magar halaat kehtay hain k ghar jaon tou behtar hai

Dilon mein farq aayen ge taalluq toot jayen ge
Jo daikha jo suna us se mukkar jaon tou begtar hai

Yahan hai kon mera jo mujhe samjhe "FARAZ"
Main koshish kar kay ab khud he sanwar jaon to begtar hai..

Main roney se darta hon
Juda honey se darta hon

Meri ankhain batati hein
K
Main soney se darta hon

Meri ungly pakar laina
Mujhey tanha nahein karna

Ye dunya aik maila hai
Is liay
Tumhein khoney se darta hon,

Jab hansta ho to
Q
Palkon k goshay bheeg jatay hein,

Tumhein maloom hai
Main is tarha roney se darta hon,

Ye jab se khuwab daikha hai,
Mujhe tum chor jao ge

Main darta hon khuwabon se,
Main ab sone se darta hon,

"Jin k humsafar rooth jaya kartay hain",
"Wo chain se kab soya kartay hain",

"Sunatay nahi kisi ko dukh apna",
"Bas akaley mein chup kar roya kartey hain",

"Bari khoob adaa hay ye Ehle wafa ki",
"Ankhon mein nami aur honton se muskuraya kartay hain",

"Bhalay hi hazaron shikwe hon mehboob se",
"Wo bas haal poch lay tou sab bhol jaya katay hain",

"Bari ajeeb hai dunya Ehle dard ki ATISH",

Jab kabi wo hoga apni zaat me Tanha
"To Yaad Aounga"

Na chala qadam se qadam koi
"To Yaad Aounga"

Main uski ankhon ka ishara b samaj leta hon

Na samaj saka koi dil ki baat
"To Yaad Aounga"

Din ka har ik pal guzrega jab us pe kathin

Aur tanha kate gi raat
"To Yaad Aounga"

Har bazi jan kar us se har jata hon

Jab de ga koi usse haar
"To Yaad Aounga"

Hansne ko to dunya b hansti hy sath sath

Na roya koi dukh mai sath
"To Yaad Aounga"

Us se milne ko kabhi hum jo machal jate hain,
Tou khayalon mein bohut door nikal jate hain,

Gar wafaon mein sadaqat bhi ho hidayat bhi,
Phir tou ehsas se pathar bhi pighal jate hain,

Uski ankhon k nashy mein hoon jab se dooba,
Lar-kharaty hain qadam or sanbhal jate hain,

Bewafai ka mujhe jab bhi khayal ata hy,
Ashk rukhsar py aankhon se phisal jate hain,

Piyar mein ek hi mosam hai baharon ka "Faraz"
Log mosam ki tarah kese badal jate hain,

Tumhary shehar ka musam barha suhana lagy
Maiik sham chura loon agr bura na lagy

Jo dobna hy to itne skoon se dobo
K aas pas ki lehron ko bhi pata na lagy

Tumhary bus men agr ho to bhool jao hamen
Tumhen bhulane men shayad hamen zamana lagy

Na jane kiya hy kisi ki udas ankhon men
Wo munh chupa ke bhi jaye to bewafa na lagy

Hamary pyar se jalne lagi hy ab dunya
Dua karo kisi dushman ki bad'dua na lagy

Next»

Home


U-ON hit counter html